Azeem Neki(Do Pyaar Karne Waalo Ko Milana)
Azeem Neki
(Do Pyaar Karne Waalo Ko Milana)
Zubaida Khatoon Rahimahallah Ne Makka Shareef Ke Raaste Mein Ek Deewar Par Likha Dekha :
اما فی عباداللہ اوفی امائہ
کریم یجلی الھم عن ذاھب العقل
لہ مقلة اما المآقی قریحة
واماالحشافالنار منہ عن رجل
Kya Allah Ke Bando Ya Baandiyo Mein Koi Bhi Aisa Sakhi Nahin Jo Us Deewana -e- Ishq Ka Gham Ghalat Kar Sake Jis Ke Gosha Haaye Chashm Zakhm Khurda Hain Aur Man Ki Aag Qadmo Tak Pahunch Rahi Hai
Zubaida Ne Mannat Maani Ke Agar Ye Sher Likhne Waala Mujhe Mil Gaya To Use Us Ke Mahboob Tak Pahuncha Doongi
Ye Jab Maqam -e- Muzdalifa Pahunchi To Dekha Ke Ek Shakhs Wahi Ash'aar Gunguna Raha Hai
Inhone Us Se Puchha To Wo Kehne Laga :
"Ye Ash'aar Maine Apni Chacha Zaad Ke Liye Likhe Hain, Jis Ke Ghar Waalo Ne Qasam Kha Rakhi Hai Ke Wo Is Ka Nikah Mere Saath Nahin Karenge"
Zubaida Khatoon Ne Ladki Ke Ahle Khana Se Raabta Kiya Aur Unhein Bahut Saara Maal Pesh Kar Ke Nikah Ke Liye Raazi Kar Liya
Nikah Ke Baad Maloom Hua Ke Ladki, Ladke Se Badh Kar Us Se Ishq Karti Thi
Zubaida Rahimahallah Apne Is Kaam Ko Azeem Nekiyo Mein Shumar Kiya Karti Thi Aur Kehti Ke Mujhe Is Kaare Khair Se Jitni Khushi Mili, Kisi Kaam Se Nahin Mili, Maine Do Muhabbat Karne Waalo Ko Jama Kar Diya
(انظر: الداء والدواء، ص563، ط دارعالم الفوائد، مکة المکرمة، س1429ھ)
Allah Ke Raham Dil Bande Humesha Ishq Ke Mubtalaon Pe Raham Khate Rahe Hain Kyunki Rasoolullah ﷺ Ka Farman Hai :
لم یر للمتحابین مثل التزوج
Do Muhabbat Karne Waalo Ka Humein Nikah Se Behtar Koi Hal Nazar Nahin Aata
Islam Mein Boyfriend, Girlfriend Jaise Najayez Rishto Ka Koi Tasawwur Nahin, Sirf Pasand Ke Nikah Ki Targheeb Hai
Agar Maane Sharayi Na Ho (Yaani Jahaan Shariat Ki Taraf Se Koi Mumana'at Na Ho) To Muhabbat Karne Waalo Ke Nikah Mein Zaroor Muaawinat Karni Chahiye, Jahan Ye Bade Ajro Sawaab Ka Kaam Hai Wahin Azeem Fitne Ke Sadde Baab Ka Zariya Bhi Hai
Comments
Post a Comment