DAROOD SHAREEF KI FAZILAT

DAROOD SHAREEF KI FAZILAT 

AAJ PADHEN DAROOD SHAREEF KE 44 FAZA'EL WA BARKAT 

1. Jo khush Naseeb 
 Rasoolullah ﷺ par DAROOD Bhejta hai , Uspar ALLAH TA'ALA, FARISHTE AUR Rasoolullah ﷺ khud DAROOD Bhejte hain.
2. DAROOD SHAREEF KHATA'ON ka KAFFARAH ban jata hai.
3. DAROOD SHAREEF se A'AMAL Paakeezah ho jate hain.
4. DAROOD SHAREEF se darjaat buland hote hain.
5. Gunahon ki maghfirat kar di jati hai.
6. DAROOD Bhejne wale ke liye Darood khud ASTAGHFAAR karta hai.
7. Naamaye A'AMAL me AJR ka Eik QEERAT likha jata hai jo UHAD pahad ki misl hota hai
8. AJR ka POORA POORA paimaana milega
9. DAROOD SHAREEF us Shakhs ke liye Duniya wa Aakhirat ke tamam Umoor ke liye KAAFI ho Jayega jo apne Waza'ef ka tamam WAQT Darood Shareef padhne me basar karta ho.
10. MASA'EB se NAJAAT milti hai
11. Uske Darood paak ki Huzoor Sallallhu Alaihi Wasallam Gawahi denge
12. Uske liye SHAFA'AT WAJIB ho jati hai
13. DAROOD SHAREEF se ALLAH TA'ALA ki Raza aur RAHMAT Hasil hoti hai
14. ALLAH TA'ALA ki NARAZI se AMAN milta hai
15. ARSH ke SAAYA ke Neechey jagah milegi
16. MEEZAN me Nekiyon ka palda bhari hoga
17. HAUZE KAUSAR Par Haziri ka MAUQA mayassar aayega
18. Qayamat ki PYAAS SE  Mahfuz ho jayega
19. JAHANNAM ki aag se Chhutkaara payega
20. PUL SIRAAT par chalna Aasan hoga
21. Marne se pahle JANNAT ki manzil dekh lega
22. JANNAT ME KASEER Biwiyan milengi
23. DAROOD SHAREEF padhne Wale ko 20 BEES Ghazwaat se bhi zayadah Sawab milega
24. DAROOD SHAREEF Tangdast ke Haq me SADQE ke Qayam Maqam hoga
25. Yeh SARAAPA PAKEEZGI WA TAHARAT hai
26. DAROOD ke wird se MAAL me barkat hoti hai
27. SAW (100) balki is-se zayadah HAJAAT poori hoti hain
28. Yeh Eik IBADAT HAI
29. DAROOD SHAREEF ALLAH TA'ALA ke NAZDEEK pasandidah A'AMAL me se hai
30. DAROOD SHAREEF MAJALIS ki ZEENAT hai
31. DAROOD SHAREEF se Ghurbat wa Faqr dur hota hai
32. Zindagi ki TANGI dur ho jati hai
33. Iske Zariye KHAIR ke Maqam Talaash kiye jate hain
34. DAROOD SHAREEF padhne Wala Qayamat ke din Tamam logon se ZAYADAH HUZOOR SALLALLHU ALAIHI WASALLAM KE Qareeb hoga
35. DAROOD SHAREEF se Darood padhne Wala KHUD , USKE BETE, POTE Nafa paayenge
36. DAROOD SHAREEF se woh bhi Nafa Hasil karega jisko Darood Shareef ka SAWAB pahunchaya gaya.
37. ALLAH TA'ALA AUR Uske RASOOL MUKARRAM Sallallhu Alaihi Wasallam ka Qurb NASEEB HOGA
38. DAROOD Eik NOOR hai jiske Zariye Dushmano par Fatah Hasil ki jati hai
39. NIFAAQ AUR ZANG se Dil PAAK ho jata hai
40. DAROOD SHAREEF padhne Wale se LOG Khush rahte hain
41. KHWAB me Huzoor Akram Sallallhu Alaihi Wasallam ki ZAYARAT Hoti hai
42. DAROOD SHAREEF padhne Wala logon ki GHEEBAT se Mahfuz rahta hai
43. DAROOD SHAREEF Tamam A'AMAL se zayadah Barkat wala aur AFZAL Amal hai.
44. DAROOD SHAREEF DEEN WA DUNIYA ME ZAYADAH Nafa Bakhsh hai.
 AUR iske Alawah is wazeefe me us Samajh daar Aadmi ke liye bahut Wasee' Sawab hai jo A'AMAL ke Zakha'er ko ikattha karne par HAREES hai aur AZEEM FAZA'EL , BEHTAREEN MANAQIB AUR KASEER FAWA'ED par Mushtamil Amal ke liye jo Koshan hai.
ALLAH TA'ALA Hamen Ba'kasrat DAROOD SHAREEF padhne ki TAUFIQ ATA FARMAYE AAMEEN.
Sallallhu 'ala Muhammad Sallallhu Alaihi Wa Aalihi Wasallam.
(Aiy IMAN Walo page number 97)

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

मसाइले क़ुर्बानी

हज़रत ग़ौस-ए-आज़म रहमतुल्लाह अलैह

रुहानी बीमारियों के 6 कि़समें हैं,