MAUT KO KASRAT SE YAAD KIYA KARO.
๐ MAUT KO KASRAT SE YAAD KIYA KARO.
๐ Mafhoom-e-Hadees :
"NABI-E-KAREEM (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Ka Farmaan hai ke.
“Lazzaton Ko Khatm Karne Waali Maut Ko Kasrat Se Yaad Kiya Karo.”
๐ (Sahih Bukhari Shareef )
"Hazrat Abu Hurrairah (RaziAllahu Ta'ala Anhu) Ne Kaha Ke, Huzoor-e-Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Ne Farmaya Ke, “Tum Mein Koi Mout Ki Aarzoo Na Kare (Isliye Ke) Woh Ya Tou ‘Nekokar’ Hoga Tou Mumkin Hai Iss Ke Nek Amal Mein ‘Ziyadati’ Ho Jaye. Aur Ya ‘Badkar’ Hoga, Tou Ho Sakta Hai Ke Aainda Taubah Kar Ke ALLAH Ki ‘Khushnoodi’ Haasil Karle”.
๐ (Bukhari Shareef, Anwar-Ul-Hadees, Page Number 226)
๐ QAUL-E-MUBARAK ๐
“Mout Ko Hamesha Yaad Rakho, Magar Mout Ki Aarzoo Kabhi Naa Karo.”
"Hazrate Umar (RaziAllahu Ta'ala Anhu)
๐ QAUL-E-MUBARAK ๐
“Mout Ko Yaad Rakhna Nafs Ki Tamaam Bimaariyo Ki Dawaa Hain.”
"Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh
Beshaq
ReplyDelete