Nafs kya hota hai.
#Nafs_kya_hota_hai_?
insan ke dil ka hi ek hissa hota hai jo sarasar Allah ka inkaar karta hai lekin emaan ko mazbut bna kar is Nafs ko Allah ka farmabardar banaya ja sakta hai
#Nafsparasti_kya_hai_?
Nafs ki ita'at ya ibadat ya farmabardari karne ko nafsparati kehte hai,
(( Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi ))
#Nafsparasti_ko_aise_samjhe
har us kaam ko karna jiske karne se Allah naraz ho jaye,
bas ishi kaam ke karne ko nafsparati kehte hai matlab ki nafs ki ibadat karna kehte hai,
asan alfaz ye hai ki agar koi banda apne kisi amal se Allah ko naraz kar raha hai to wo nafsparati kar raha hai,
=} jaise Namaz ke waqt sona,
Walidain ki nafarmani etc etc
#insan_nafasparasti_kyu_karta_hai?
Do wajah aisi hai jiski wajah se insan apne nafs ka farmabardar ban jata hai,
pehli dil me Eman hi na ho ya ye ki koi Allah ka munkir ho,
dusri wajah ye hai ki bande ke eman me zouff/kamzori ho, matlab ye ki Allah ke wado aur waeedo(dhamki) ka dil par poora poora asar na hota ho ya kuch wado/waeed ka asar hota ho aur kuch ka asar na hota ho, ishi ko zouf_e_eman kehte hai,
{ (Kamil Momin ka dil Allah ki har bat ka poora asar leta hai )}
Jab ham Allah ko naraz kar rahe hote hain indirectly ham Nafs ko khush kar rahe hote hai ...... mustaqil Nafs ki farmabrdari insan ko kafir bana deti hai aur nafs ki mukhalafat karna Momin hone ki alamat hai.
Allah ham sabki Nafs ki Ibadat karne se hifazat kare ameen.
Comments
Post a Comment