NAMAZI KE AAGE KA FASLA
NAMAZI KE AAGE KA FASLA
ARZ:-
Namazi ke aage kitni lambai aur chaudai wali cheez honi chahiye ke uske aage se guzarne wala gunehgar na ho?
IRSHAD:-
Halat e namaz men namazi ke aage se guzarne wale ke baare men hadees sharif men badi waeed aai hai, yeshadeed gunah hai.
Namazi ke aage kisi aisi cheez ka hona jo uske liye aad aur ooat ban jaye aur jis ke baad namazi ke samne yaa aage guzarne wala gunehgaar na ho, Ise fiqhi istelah men "sutrah" kehte hain.
Uski miqdar ye hai ke lambai1 se 3 hath ke barabar ho aur motai kam-az-kam 1 ungli ke barabar.
Namazi ko chahiye ki sutrah apne maqam e sajdah ke aage nasab kar de agar zameen sakht ho aur lagana dushwar ho to rakh de.
Baaj fuqha ne kaha hai ke sutrah ke liye agar kuch bhi dastiyab na ho to namazi apne aage khat khich de ya mehrab ke haiat (shakal) bana le , ye goya mahez alamati sutrah hoga.
Agar kisi khule maidan me ba-jamat namaz ho rahi ho to sirf imaam ke aage sutrah kafi hai, sab muqtadion ke liye zaroori nahi, choti masjid men namazi ke aage deewar mehrab tak kisi ko nahi guzarna chahiye badi masjid men namazi ke maqam e sajdah se 2 ya3 safon ka fasla chhod kar guzar sakte hain .
✦ (Tafheem al masail J-1 S-114)
Comments
Post a Comment