Sayyiduna Umar bin Khattab eik inqilabi shaksiyat. ‏Hazrat Farooq e azam ek bemisaal ruler hain ‏ ‎.‏ ‏ ‏ ‏ ‏

Sayyiduna Umar bin Khattab eik inqilabi shaksiyat;

Hum yahan kuch aisi baatein zikr karenge jisse aam taur par awam waqif nahi hai.

Hazrat Farooq e azam ek bemisaal ruler hain

Aap ke daure khilafath me islami hukumat ki wus'at gair mamuli taur par badti chali gayi. Egypt, iraq, iran, palestine, syria, north africa aur armenia jaise ilaqe saltanate islamia me dakhil hogaye the.

Aapne apne waqt ke do super powers (rome aur iran) ko shikast di thi. Aap sirf futuhaat par focus nahi karte balke un ilaqon ke nazam o nasq par zyaada tawajjo dete.

Hazrate Farooq e azam ki bemisaal hukmrani, adalat aur aapki futuhaat ko western writers ne bhi bahut saraha hai.

Aap public policy par zyada focus karte aur public ki zarooriyat par zyaada tawajjoh dete.

Itni badi saltanat ke khalifa ki haisiyath se aapka nazariya ye tha ke koi bhi apki khilafat me bhooka na soye, hatta ke apne farmaya tha "agar kutta bhi dariyae furat ke kinare bhooka mar jaye to Umar uska zimmedar hoga" (mafhoom)

Aap kisiko governor banane me bahut mohtaat rehte the.
Aur sab governors aapke instructions ke paband the
Sab governors pe lazim tha ke wo har saal hajj ko aayen taake sab ke complaints wagairah sune jaa saken.
Sab officials ko zyaada salary dete the take corruption na ho.

Hazrat umar ke reforms and administrative systems par aaj bhi amal hota hai. Aap hi ne sab se pehle in cheezo ko initiate kiya tha:s

1. Students ko scholarship
2. Infants, widows, mazoor, aur be bas logon ko wazaif diye jate the.
3. Hakim aur hukumati ohdedar apni proporty batate the
4. Be imaan judges ko saza diya jaata tha
5. Tarikh me pehli baar a'la khandan se talluq rakhne wale aur hukumati ohdedaron se hisaab kitaab liya jane laga.
6. Public ministry system shuru kiya gaya, jisme tamam fauji aur hukumati ohdedaron ka record banaya gaya bashamool aapke khutoot ke jo governors aur riyasaton ke sarbarahon ko bheje jate the.
7. Mardum shumari - cencus of population - population ka bhi record banaya gaya.
8. Aapne tarikh me pehli baar eik aisa khususi mahkuma banaya tha jo sarkari officers ke khilaf complaints ko investigate karta tha aur aap phir hazrat umar uska faisla karte .
9. Aapne hi sabse pehle police force muqarrar kiya jo civil order dekhta tha.
10. Sabse pehle jail ka tasavvur pesh kiya aur judicial system ko mutarrif karwaya.
11. Fauj ke chawkiyan banaye
12. Post office ka nizam

Aaj Bhi Log Sayyiduna Umar bin Khattab RadiAllahu Anhu Ke Banaye Gaye Systems Ki Pairvi Karte Hain.

Zyaada se Zyaada Share Kariye

Comments

Popular posts from this blog

मिलादुन्नबी सल्लल्लाहू अलैह व सल्लम के दिन खुब सलाम ही सलाम भेजो क्योकि कुरान कहता है।

ईदे गदीर मनाना जाईज़ है या नहीं"

एक नौजवान कहता है: