Gustaakh e Ahle bait par ALLĀH ta’ala ka azaab .
Gustaakh e Ahle bait par ALLĀH ta’ala ka azaab :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Jung e Karbala se qabl Zaalim Gustaakho par Azaab e ilāhi :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Hazrat Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ne apne Ahle bait aur saathiyo ki hifaazat ke liye apne khaimo ke ird-gird khandaq khod kar us me aag jalai thi.
Ye dekhkar Maalik bin Urwa naam ke ek gustaakh ne kaha ke ‘Aye Husain! Tum ne waha ki aag se pehle hi aag tayyaar kar li.’
Aap ki dua se us par azaab e ilāhi is tarah naazil hua ke wo jis ghode par sawaar tha us ka paanv ek soorakh par pada aur wo bidak kar tezi se bhaaga aur us gustaakh ka paanv rakaab me ulza. Ghoda use ghasit'ta hua dauda aur wo aag me ja gira aur wo dard se chillaata raha yaha tak ke buri maut mar gaya.
(Tazkeera, Safa -68)
(2) Ibne Ash'as naami ek gustaakh ne kaha tha ke ‘Aye Husain! Tumhe ALLĀH ke Rasool se kya nisbat?’
Us par azaab e ilāhi is tarah naazil hua ke wo jab haajat se faarigh hua to use istinja ke maqaam par bichhu ne dankh maara aur wo shadeed dard ki wajah se chillaate hue zameen par lautne laga aur is tarah najaasat aalooda hokar buri maut mar gaya.
(Aizan, Safa -89)
(3) Jaa’ad Qarni naami ek gustaakh ne Nehar e Furat ki taraf ishaara karte hue kaha tha ke ‘Aye Husain! Dekho nehar me paani mauje maar raha hai, Sab is paani ko istemaal karenge, Lekin tumhe aur tumhare saathiyo ko is me se ek bund paani nahi milega aur tum sab pyaase hi maare jaaoge.’
Us par azaab e ilāhi is tarah naazil hua ke wo jis ghode par sawaar tha wo bidak kar tezi se bhaga aur use rokne ki us ki har koshish nakaam rahi aur wo neeche gir gaya aur pyaas ki wajah se us ka gala sukhne laga aur wo chillaane laga ‘Al atash al atash!’ Use us ke saathi paani pilaate rahe lekin wo ek katra bhi pee na sakta tha aur wo shiddat e pyaas me tadap tadp kar buri maut mar gaya.
(Sawaaneh Karbala, Safa -90)
******************
Jang e Karbala ke baad Zaalim Gustaakho par Azaab e ilāhi :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Hazrat Ali al-Asghar rahmatullāhi alaihi ke gale par teer chalaane waale zaalim shakhs Harmula bin Kahil par aisa azaab e ilāhi naazil hua ke
Us ka aage ke pait ki taraf ke hisse me hamesha itni garmi hoti ke jaise aag jal rahi ho. Pait par barf rakhne se bhi use faa'ida nahi hota tha. Aur saath me us ka pichhe peeth ka hissa itna thanda rehta tha ke aatish-daani rakhkar garmi dene par bhi faa'ida nahi hota tha. Paani paani chillaata rehta aur jitna paani dete pee jaata lekin pyaas nahi bujhti.
Puri zindagi us par ye azaab jaari raha. Aakhir me paani pee peekar us ka pait phata aur mar gaya.
(2) Hazrat Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ki shahaadat ke baad Aap ke sar mubarak se Amaama shareef utaarne waala Jaabir ibn Yazeed Azdi Paagal ho gaya aur gandi naaliyo ka paani peeta aur jaanwaro ki leed khaata hua mara.
(3) Hazrat Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ki shahaadat ke baad Aap ke jisme at'har se pehran mubarak utaarne waala Jawna Hazri Kodhi ho gaya aur us ke jism ka tamaam hissa sad gaya aur isi marz me mar gaya.
(4) Hazrat Allama Ibne Hajar Asqalaani rahmatullāhi alaihi bayaan karte hain ke :
Imaam e Aali maqaam ke sar e anwar ko ghode ki gardan me latkaane waale yazeedi ka chehra kaala ho gaya wajah puchhne par bataaya ke ‘Jis roz maine latkaaya tha usi roz se rozaana raat me 2 log aate hain aur mujhe pakadkar ek jalti hui aag me mera munh daal kar nikaalte hain. Is liye mera munh kaala ho gaya.’
(5) Hazrat Abu Shaikh rahmatullāhi alaihi bayaan karte hain ke :
Ek jagah par kuchh log jama hokar charcha kar rahe the ke Imaam e Aali maqaam ke muamale me jis ne bhi hissa liya hai un sab ko marne se pehle koi na koi azaab zaroor diya gaya.
Waha maujood ek budha shakhs bola ‘Maine bhi to hissa liya tha mujhe kuchh bhi na hua.’ Ye kehkar wo chiraag sahi karne ke liye gaya. Achaanak us ke kapde me aisi aag lagi ke pura badan jalne laga aur chillaata hua nehar e Furaat me kooda. Phir bhi aag na bujhi aur aag se hi halaak hua.
(6) Hazrat Imaam Waaqdi rahmatullāhi alaihi bayaan karte hain ke ek shakhs jo yazeediyon ke saath tha us ne koi qatl na kiya phir bhi andha ho gaya.
Us ne wajah yeh bataai ke ‘Maine Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ko khawaab me dekha ke haath me talwaar hai aur Imaam e Hussain radiy-Allāhu ta’ala anhu ke 10 qaatilo ki laashen padi hui hai aur meri taraf naaraazgi se dekha aur ek salaai li aur khoon me doobokar meri aankh me phair di tab se main andha ho gaya.’
(7) Sab se bade dushmane Aale Rasool Yazeed bin Muawiya ki Maut ke kuchh din pehle us ki aante sad gai aur us me keede pad gaye aur takleef ki shiddat se khinzeer ki tarah cheekhta tha. Paani ka qatra halaq se neeche utarne ke baad nastar ki tarah chubhne lagta tha. Ajeeb qaher e Ilāhi tha ki paani ke bagair bhi tadapta tha aur paani pee kar bhi cheekhta tha.
Bil aakhir usi dard ki shiddat se tadap tadap kar 15 Rabi ul Awwal 64 Hijri (14 November 683 A.D.) ko us ki jaan nikli.
Us ki laash me aisi haulnaak bad-boo thi ke qareeb jaana mushkil tha. Jaise taise us ko supurd e khaak kiya gaya.
(Naqsh-e-Karbala, Safa -65)
(8) Umar ibne Sa’ad, Shimr ibne Zil-Jawshan, Khawli bin Yazeed, Sinaan bin Anas, Qais bin As'at, Ubaidullāh bin Qais, Yazeed bin Malik wagairah Zaalimo ko Mukhtaar al-Ṡaqafi ne sakht tareen azaab ke saath qatl karke un ki na-paak laasho ko ghodo ki taanpo ke neeche rondkar haddiya tak choor kar di aur unhe khaak me mila diya.
*********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Shohada e Karbala aur Ahle bait waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko Rahmatalil aalameen Pyare Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ki aur Ahle bait aur Aale Rasool aur Ashiqaane Rasool se sachi mohabbat karne ki aur un ki ta’azeem karne ki aur un ki khidmat karne ki taufiq ata farmae.
Aur nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
JAZAKALLAH KHAIR
Comments
Post a Comment