Hazrat Jibraeel علیہ السلام kis sahabi ki shakal mein Huzoor صلی اللہ علیہ و سلم ke pass tashrif laaye
Hazrat Jibraeel علیہ السلام kis sahabi ki shakal mein Huzoor صلی اللہ علیہ و سلم ke pass tashrif laaye
Sawaal
السلام علیکم و رحمت اللہ
Ulema e kiram ki khidmate aala mein ek sawaal peshe khidmat he ki:
Iss talluq se koi hadish ho ki Hazrat Jibraeel alaihissalam Huzoor صلی اللہ علیہ و سلم ki khidmat mein kabhi insani shakal mein aate aur kabhi asal shakal mein hajire khidmat hote to irsal farma dein.
Al-jawaab:
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
بسم الله الرحمن الرحيم
الحمدلله والصلوة والسلام على رسول الله ﷺ
Aap ka puraa naam Dihya ibne Khalifa bin Farwah bin Fazalah al Kalbi al Qazai Radiyallahu anhu he.
Aap radiyallahu anhu Rasool e maqbool صلی اللہ علیہ و سلم ke safir bhi bane, Rasoolallah صلی اللہ علیہ و سلم ne Harqul shah e Rome ko jo khat likha wo aap ke hawale kiya ki aap ise sarbarah bashari ke hawaale kar dein aur ise Harqul tak pahuncha dein. (Rahiqul Makhtum)
Sayyedina Dihyaa ke baare mein aata he ki aap Madina ke hasin o jamil aur khubsurat logo mein se ek the, Jibraeel alaihissalam aap radiyallahu anhu ki shakal mein kabhi kabhi Rasoolullah صلی اللہ علیہ و سلم ke pass aate the.
كان جبريلُ يأتي النبيَّ صلَّى اللهُ عليهِ وسلَّمَ في صورةِ دِحيةَ الكلبيِّ
الراوي: عبدالله بن عمر المحدث: الألباني - المصدر: السلسلة الصحيحة -
▪️الصفحة أو الرقم: 3/104
▪️خلاصة حكم المحدث: إسناده صحيح على شرط مسلم
"Jibraeel alaihissalam Rasool e karim صلی اللہ علیہ و سلم ke pass Sayyedina Dihya kalbi ki shakal mein aate the."
Musalman jab gazwa e Ahzaab se farig huve Jibraeel alaihissalam aaye, Aap ka chahra gard aalood tha farmane lage Aap صلی اللہ علیہ و سلم ne hathiyar khol diye? Halanki farishte ab tak hathiyaarband he. Inn par chadhai kijiye. Rasoolullah صلی اللہ علیہ و سلم ne fouran hathiyaar lagaa liye aur Sahaba e kiraam rizwanallahu alaihim ajmaeen mein bhi kooch ki munaadi karaadi. Banoo tamim ke maqanat Masjid e nabwi se mutassil se the. Raah mein Aap صلی اللہ علیہ و سلم ne unn se pucha, kyun bhai kisi ko jaate huve dekha? Unhone kaha ki han abhi abhi Sayyedina Dihya kalbi radiyallahu anhu gaye hain. Halanki the to wo Jibraeel علیہ السلام lekin aap ki dadhi chahra wagaira bilkul Sayyedin Dihya kalbi se milta jhulta tha.
▪️(Tafsir Ibne Kasir- Tafsire Surah Ahzaab)
واللہ تعالی اعلم بالصواب
Az-qalam: Hazrat Allama Mufti Manzoor Ahmed Yaralawi sahab qibla
Comments
Post a Comment