Ilme Gaib e Mustafa ‎ﷺ ‏

🔳 Ilme Gaib e Mustafa ﷺ 🔳

Har daur me Ahle Haq Ka ye Aqeeda raha hai ki Allah Ta'ala ne Apne Mahboob Hazrat Muhammed Mustafa ﷺ  ko Gaib-da banaya aur Aap ﷺ  Dhaki , Chhupi , Guzri aur aayenda qayamat tak hone wali har baat ko Jaante Hai 

✔ Hadees No. 1

Hazrate Umar رضي الله عنه se riwayat hai ki Nabi E Kareem ﷺ  ek roz hamare darmiyan khade hue to Aap ﷺ  ne makhluq ki paidaish ka ibteda se zikr farmana shuru kiya yahan tak ki Jannati Apne maqaam par pahoch gaye aur dozakhi apne maqaam par ise yaad rakha jisne yaad rakha aur bhool gaya jisne bhool gaya

📕 Bukhari Jild 1 safa 354
📘 Muslim Jild 2 safa 390

Haashiye mein hai " Imaam taibi ne farmaya ki is hadees se zaahir hai ki saari makhluq  ke saare haalat Huzoor ﷺ  ne Sahaba ko bata diye 

🌴 Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jaante Hai 
Teri Ataa Se Khudaya Huzoor Jaante Hai 🌴

🔳 Ilme Gaib e Mustafa ﷺ 🔳
✔ Hadees No.2 

Hazrate Anas Ibne Malik رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ  suraj dhhal jaane ke baad bahar tashreef laaye fir humko zuhar ki Namaz padhayi. Jab salaam fer diya to Aap ﷺ  mimber par jalwa afroz hue aur Qayamat ka zikr Farmaya aur un bade bade umoor ka jo isse pahle hai fir farmaya agar koi mujhse jo kisi cheez ke baare me puchna chahe to puch lo Khuda Ki Kasam Tum mujhse jo puchoge main bata dunga jab tak main is jagah hu. Hazrat Anas ka bayaan hai log Zaaro kataar rone lage aur Rasoolullah ﷺ  Baar baar farmate rahe jo chaho mujhse puchlo Hazrate Anas ka bayan hai ek sahab ne khade hokar pucha ki Yaa Rasoolullah ﷺ  mera thikana kaha hoga Farmaya Dozakh mein  fir Hazrate Abdullah Ibne Huzafa khade hue arz karne lage Yaa Rasoolullah  ﷺ  Mera Baap Koun hai ? Farmaya Tumhara baap huzafa hai.  Raawi ka bayan hai ki fir Aap ﷺ  baar baar farmate hai ki mujhse pucho mujhse pucho chunache Hazrate Umar رضي الله عنه ghutno ke bal khade ho kar kahne lage
▶ Hum Allah Ke Rab Hone aur Muhammed ﷺ  ke Rasool Hone par Raazi hai . Jab Hazrate Umar رضي الله عنه ne ye guzarish ki to Rasoolullah ﷺ  khamosh ho gaye. Fir Rasoolullah ﷺ  ne irshad farmaya kasam us zaat ki jiske kabze me meri jaan hai Abhi Abhi is deewar ke samne mujh par Jannat aur dozakh pesh ko gai jab ki main Namaz padh raha tha to Aaj ki tarah maine khair aur shar ko nahi dekha 
📕 Bukhari Jild 2 safa 1083
📘 Muslim Jild 2 Safa 263

🌴 Khuda  Hi Jaane Ubaid Unko Hai Pata Kya Kya 
Hume Pata Hain Bas Itna Huzoor Jaante Hai 🌴

🔳 Ilme Gaib e Mustafa ﷺ 🔳
✔ Hadees No. 3 

Hazrate Sayyedna Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ  ne irshad farmaya ki tum dekhte ho ke mera chehra is taraf hai jab ki Khuda Ki Kasam mujh par tumhara Khushoo ( dil ki kaifiyat) aur Ruku Hargiz poshidah Nahi. Main pith ke piche se bhi dekhta hu

📕 Bukhari Jild 1 Safa 59

✔ Hadees No. 4 

Hazrate Anas Ibne Malik رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne hum ko Namaz Padhayi fir mimbar par Tashreef farma hue aur Namaz aur Ruku ka bayan kiya aur farmaya ki main tum ko piche se bhi aise dekhta hu jaise aage se

📕 Bukhari Jild 1 Safa 59

➡ Sharah Bukhari aini mein hai ye sirf Namaz ke Sath nahu balqi Huzoor ﷺ  hamesha jis tarah aage dekhte hai waisi hi piche

🌴 Munafiqon Ka Aqeeda Wo Gaib daan Nahi
Sahabiyon Ka Aqeeda Huzoor Jaante Hai 🌴

🔳 Ilme Gaib e Mustafa ﷺ 🔳
✔ Hadees No. 5

Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Habsha ke baadshah Nujashi ki mout ki khabar usi din de di jis din Intiqaal hua

📕 Bukhari Jild 1 Safa 167

➡ Habsha Madine Shareef se hazaaro meel par hai jise Aaj kal Ethopiya kahte hai waha ke baadshah Hazrat Najashi ka intiqaal hote hi Huzoor ﷺ ne Madine walo ko is ki khabar de di thi kyun ki Allah Ta'ala ne Huzoor ﷺ ko gaib ka Ilm diya hai

🌴 Khabar Bhi hai Ke Khabar Sab Ki Unhe Hai kab Se 
Ke Jab Na Ab Tha Na Tab Tha Huzoor Jaante Hai 🌴

🔳 Ilme Gaib e Mustafa ﷺ 🔳
✔ Hadees No. 6

Comments

Popular posts from this blog

मिलादुन्नबी सल्लल्लाहू अलैह व सल्लम के दिन खुब सलाम ही सलाम भेजो क्योकि कुरान कहता है।

ईदे गदीर मनाना जाईज़ है या नहीं"

एक नौजवान कहता है: