Kiya Majnu Allah Ke Wali Thay

Kiya Majnu Allah Ke Wali Thay

SUWAL
Assalamu Alaikum 

Majnu Koun Tha Iske Bare Mai Tafseel Se Bata Denge To Maharbaani Hogi Maine Suna Hai Ke Wo Sahabi e Rasul Hai, Kiya Ye Sahi Hai? 
 

JAWAB
Wa Alaikum Assalam 

Imam e Ahle Sunnat Fazile Bareilwi Farmate Hai Ke,
Hazrat Qais Al-Maroof Majnu Rahmatullah Alaih Ke Mutalliq Hazrat Juned e Baghdaadi Raziallahu Anhu Farmate Hai Ke:

ان مجنون بنی عامر کان من احباء اﷲ تعالٰی سترشأنہ بجنون بلیلٰی۔
نقلہ الزرقانی فی شرح المواھب الشریفۃ من روضۃ العاشق لابن القیم واستغربہ۔

Beshak Majnu Bani Aamir Auliya e kiraam Mai Se Thhey Aapne Laila Ke Sabab Apne Junoon Ke Zariye Apne Muamley Ko Chhupaya Huya Thha.
▪️(Fatawa e Razviya, J-15)
▪️(Kiya Aapko Malum Hai?)

Majnu Ka Asal Naam Qais Bin Al-Malooh Thha Ye 24 Hijri Mutabiq 645 Eeswi Ko Paida Huye Apne Asr (Zamana) Ka Maroof Shayar Thhey Inhone Ek Musalman Ke Tour Par Zindagi Guzari Aur Haalat e Iman Mai Hi Fout Huye.

Fatawa e Bahrul Uloom Mai Hai Ke,
Filhaal Hamare Paas Jazeera e Arab Ka Koi Aisa Jograafiya Ya Tareekh Nahi Ke Hum Laila Aur Majnu Ke Bare Mai Tafseel De Sake.
▪️(Fatawa e Bahrul Uloom, J-6)

*Moarrikheen, Muhaddiseen Aur Ahle Ilm Ne Majnu Ke Ahwaal Bayan Kiye Hai, Baaz Moarrikheen Ne Unke Haj Par Jane Aur Haramain Mai Unke Qayaam Ke Darmiyan Pesh Aane Wale Waqiyaat Bhi Bayan kiye Hai.

Chand Kutub Ke Hawale Darj e zail Hai;
▪️ابنِ قتيبه، عبدالله بن مسلم، تاويل مختلف الحديث ج 1 ص  319، دار الجيل، بيروت۔

▪️ابن جوزی، عبد الرحمٰن بن علی  بن محمد المنتظم ج 6 ص  105، دار صادر، بيروت۔ 

▪️ابنِ منصور، ابو سعيد عبد الکريم بن محمد الانساب ج 5 ص 204، دار الفکر، بيروت۔

▪️الذهبي، شمس الدين محمد بن احمد بن عثمان، تاريخ اسلام ج 5 ص 217  دار الکتاب االعربي، لبنان

Mazkura Kutub Ke Mutaley Se Pata Chalta Hai Ke Qais (Majnu) Ka Dour Awwaleen (Pahli) Sadi Hijri Hai Jo Ke Sahaba Ka Zamana Hai.

Qais Chunke Musalmaan Thhe Aur Haalat e Iman Mai Hi Fout Huye, Agar Unki Kisi Sahabi Se Mulaqat Huyi Hai To Wo Tabqa Ta'baeen Mai Shumaar Hoga.

Hamari Tehqeeq Ke Mutabiq Qais (Majnu) Ka Taabayi Hona Qarina e Qayaas Hai.
واللہ تعالی اعلم باالصواب

_Irshad Quadri Amjadi
_Mufti Aarif Raza Amjadi Sharawasti

Comments

Popular posts from this blog

मसाइले क़ुर्बानी

हज़रत ग़ौस-ए-आज़म रहमतुल्लाह अलैह

रुहानी बीमारियों के 6 कि़समें हैं,