NAFS KYA HAI
NAFS KYA HAI
QUR'AAN-E-MAJEED Mein 3 Qism Ke NAFS Ka Tazkirah Aaya Hai.
1... Nafs-e-Ammarah.
2... Nafs-e-Lawwamah.
3... Nafs-e-Mutamaeenah.
_NAFS-E-AMMARAH :
Woh Nafs Hai Jo Insaan Ko Buraiyon Par Amadah Aur Ubharta Hai, Iska Zikr Surah Yusuf Mein Kuch Is Tarah Hai._
اِنَّ النَّفۡسَ لَاَمَّارَةٌۢ بِالسُّوۡٓءِ۞
Tarjama E Kanz Ul Imaan :
Beshak Nafs Burai Ka Bada Hukm Dene Wala Hai.
▪️القرآن - سورۃ نمبر 12 ورۃ يوسف آیت نمبر 53 پارہ : 13 رکوع : 1.
_NAFS-E-LAWWAMAH :
Woh Nafs Hai Jo Gunah Hone Par Bhi Insan Ko Malaamat Karta Hai, Aur Ita'at Ke Chhutne Par Bhi Malaamat Karta Hai Jis Ka Zikr Qur'aan Paak Mein Kuch Is Tarah Hai._
وَلَاۤ اُقۡسِمُ بِالنَّفۡسِ اللَّوَّامَةِؕ ۞
Tarjama E Kanz Ul Imaan :
Aur Uss Jaan Ki Qasam Jo Apne Uper Malamat Karti Hai.
▪️القرآن - سورۃ نمبر 75 القيامة آیت نمبر 2 پاره : 29، رکوع : 17.
▪️SURAH QIYAMAH, AAYAT No.2.
_NAFS-E-MUTMAEENAH :
Woh Pakizah Nafs Hai Jise ALLAH Ke Wa'adon Par Yaqeen Hai, Use Qayaamat Ke Din Koi Khauf Laahiq Na Hoga, Iska Zikr Surah Fajr Mein Kuch Is Tarah Hai.
يٰۤاَيَّتُهَا النَّفۡسُ الۡمُطۡمَئِنَّةُ ۞ ارۡجِعِىۡۤ اِلٰى رَبِّكِ رَاضِيَةً مَّرۡضِيَّةً ۞ فَادۡخُلِىۡ فِىۡ عِبٰدِىۙ ۞ وَادۡخُلِىۡ جَنَّتِى ۞
Tarjama E Kanz Ul Imaan :
Aye Itminaan Wali Jaan! Apne Rabb Ki Taraf Wapis Yuñ Ki Tu Us Se Raazi Hou Aur Wo Tujh Se Raazi, Phir Mere Khaas Bandon Mein Dakhil Ho Aur Meri Jannat Me Aa.
▪️سورة الفجر آية 27-30، پارہ 30 رکوع 14
واللہ اعلم ورسولہ بالصواب
Comments
Post a Comment