Pani Ki Tanki Mai Bandar Munh Daal De To Us Pani Ka Sharai Hukm

Pani Ki Tanki Mai Bandar Munh Daal De To Us Pani Ka Sharai Hukm

SUWAL
Assalamu Alaikum
Hazrat Hamare Yaha Masjid Mai Pani Ki Tanki Ka Dhakkan Thoda Sa Toot Gaya Hai, Jisme Se Bandar Usme Ghus Rahe The,
Qareeb 5 Mahine Pahle Ek Sahab Ne Dekha Tha To Unhone Masjid Ke Intizamiya Ko Bataya To Unhone Is Par Tawajjoh Nahi Di Aur Aaj Phir Unhone Usme Bandaro Ko Nahate Aur Pani Peete Dekha,

To Is Surat Mai Tanki Ko Kis Tarah Se Paak Kiya Jayega Aur 5 Mahine Pahle Se Ab Tak Jo Namaz Us Pani Se Wazu Karke Padhi Gayi To Un Namazo Ka Kiya Hukm Hai?

JAWAB
Walaykumus Salam wa Rehmatullahi wa Barakatuhu
بسم الله الرحمن الرحيم
الحمدلله والصلوة والسلام على رسول الله ﷺ

Bandar Ka Jhuta Napak Hai,

Durr e Mukhtaar Ma Raddul Mohtaar Mai Hai;
وسوٴر خنزیر و کلب وسبع بھائم نجس
Jin Janwaro Ka Gosht Nahi Khaya Jata, Jaise Suwwar, Kutta, Sher, Cheeta, Bhediya, Geedad, Hathi, Bandar Aur Tamam Shikari Choupaaye In Sabho Ka Jhoota Napak Hai.
▪️(Durr e Mukhtaar Ma Raddul Mohtaar, Kitabut Taharat, J-1, P-425)

Is Tarah Ki Tanki Mai Jo Pani Hota Hai Wo Umooman Maa e Raakid Qaleel (Tahra Huya Thoda Pani) Hota Hai,
Isliye Bandar Ke Munh Daalne Se Aisa Pani Napak Ho Jayega.

Aur Uske Paak Karne Ka Tariqa Ye Hai Ke
Tanki Ka Sara Pani Nikalna Mumkin Ho To Tamam Pani Nikal Kar Paak Kar Liya Jaye,

Agar Tanki Zyada Badi Ho Ya Mukammal Pani Nikalna Dushwar Ho To Tanki Mai Ek Taraf Se Pani Dakhil Kiya Jaye Aur Dusri Taraf Se Nikala Jaye, Dusri Taraf Se Pani Nikalte Hi Tanki Aur Pipe Wagerah Sab Paak Ho Jayenge,
Paak Karne Ke Liye Pani Ki Koi Khaas Miqdaar Nikalna Zaruri Nahi,
Albatta Ehtiyaat Ye Hai Ke Bandar Ke Peete Waqt Jitna Pani Tanki Mai Moujood Raha Ho Utna Pani Nikal Diya Jaye.

Albatta Masjid Ke Intizamiya Ko Chahiye Ke Tanki Ko Dhak De Ya Jaal Laga De Taake Bandar Pani Ko Napak Na Kar Sake.

Ab Raha Namaz Ka Mas'ala
Jabke Bandar Ka Jhoota Napak Hai, To Aisi Surat Mai Tanki Ka Pura Pani Napak Huya, To Tanki Ke Najis Paani Se Wazu Ya Ghusl Karke Jitni Namaze Padhi Gayi Un Namazo Ko Loutana Wajib Hai (Yani Wo Namaz Dobara Padhni Hongi)
واللہ تعالی اعلم باالصواب

Comments

Popular posts from this blog

मसाइले क़ुर्बानी

हज़रत ग़ौस-ए-आज़म रहमतुल्लाह अलैह

रुहानी बीमारियों के 6 कि़समें हैं,