~QAYAMAT KE DIN UMMAT KE MUFLIS LOG~

~QAYAMAT KE DIN UMMAT KE MUFLIS LOG~ 

🖍️ Hadith :

"Hazrat Abu Hurraira (RadiAllahu Ta'ala Anhu) Se Rivayat hai ki, "Rasool-ALLAH (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Ne Farmaya, Tum Jaante ho Muflis Kaun Hain❓

👉 Logon Ne Arz Kiya Muflis Hum Mein Wo Hain Jiske Pass Rupaya aur Asbaab Na Ho, Aap (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Ne Farmaya, Muflis Meri Ummat Me Qayamat ke Din Wo Hoga Jo Namaz layega, Aur Roza Aur Zakat (layega) Lekin Usne Duniya Mein Kisi ko Gaali di Hogi, Kisi Ko Badkari ki Tohmat lagaye Hogi, Kisi ka Maal Kha liya Hoga, Kisi ka Khoon Kiya Hoga, Kisi ko Maara Hoga,

"Phir Un (mazlum) logon ko Uski Nekiya Mil Jayegi Aur Agar Uski Nekiyan Uske Gunaah Ada Karne se Pahle Khatam ho Jayegi To Un Logon Ki Buraeyan Us Par Daal di Jayegi Aur Wo Jahanam Mein Daal Diya Jeyaga. 

📚 (Sahih Muslim, Vol 6, Hadith : 6579) 

"Hazrat Abu Huraira (RadiAllahu Ta'ala Anhu) Se Rivayat hai ki, Rasool-ALLAH (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Ne Farmaya Agar Kisi Shaksh ne Kisi Dusre ki Ezzat (reputation) ya Koi Aur Cheez Par Zulm Kiya Ho to Us se Aaj hi Us Din ke Aane se Pahle Maaf Karwa le Jis Din Na Deenar Honge na Dirham Bulki Uska Koyi Neik Amal Hoga to Us Zulm ke Badle Wohi Le liya Jayega aur Agar Koi Neik Amal Uske Paas Nahi Hoga to Us Mazlum Ki Buraeyan Us Par Daal di Jayegi... 

📗 (Sahih Bukhari, Vol 3, Hadith : 2449)

Comments

Popular posts from this blog

मसाइले क़ुर्बानी

हज़रत ग़ौस-ए-आज़म रहमतुल्लाह अलैह

रुहानी बीमारियों के 6 कि़समें हैं,