Shaan-e-GOUS-E-AAZAM ๐ŸŒท Radiallaho Ta'ala Anho

๐ŸŒท Shaan-e-GOUS-E-AAZAM ๐ŸŒท
           Radiallaho Ta'ala Anho

>>> Aap ke Bachpan Sharif ki kuch Karamato me se kuch karamatein :-

1) Hazrat GOUS E AZAM Radiallaho Ta'ala Anho Abhi apni Walida(Maa) ke Pet me the aur Walida(Maa) ko jab cheenk aati aur is par jab woh 'Alhamdolillah' kehti GOUS E AZAM Radiallaho Ta'ala Anho Pet hi me jawaban 'Yarahmakuallah' kehte.
Subhanallah,

2) Hazrat GOUS E AZAM Radiallaho Ta'ala Anho ek Ramzan-ul-Mubarak baroz Peer Subha sadiq ke waqt Duniya me jalwagar hue, us waqt Aap ke Honth Mubarak Aahista Aahista harkat kar rahe the aur ALLAH ALLAH ki Aawaz aa rahi thi.
Subhanallah,

3) Jis din Hazrat GOUS E AZAM Radiallaho Ta'ala Anho ki wiladat hui us Din Aap ke diyare wiladat Jilan Sharif me Gyarahso(1100) bacche Paida hue woh sab ke sab ladke the, aur sab 'Waliallah' bane.
Subhanallah,

4) Hazrat GOUS E AZAM Radiallaho Ta'ala Anho ne Paida hote hi Roza rakh liya aur jab suraj ghurub hua us waqt Maa ka Doodh nosh farmaya.
Subhanallah,

5) Paanch(5) baras ki Umar me jab pehli baar "BISMIALLAH" padhne ki rasam ke liye kissi buzurg ke paas baithe toh  A'UZO Aur "BISMIALLAH" padhkar "Surah fatiha" se lekar Atthara(18) Paare(QURAN) padh kar suna diya.
Us buzurg ne kaha :
Beta, Aur padhiye,
Aap ne Farmaya,
"Bas mujhe itna hi yaad he, kyuki meri Maa ko itna hi yaad tha, jab me Apni Maa ke Pet me tha, us waqt woh padha karti thi,Maine sunkar yaad karliya tha."
Subhanallah,

6) Jab Hazrat GOUS E AZAM Radiallaho Ta'ala Anho ladak-pan me khelne ka irada farmate, 
Gaib se Aawaz aati,
"Aye Abdul Qadir,
Humne tujhe khelne ke wasate nahi paida kiya."
Subhanallah,

7) Hazrat GOUS E AZAM Radiallaho Ta'ala Anho Madarse me tashrif le jaate toh Aawaz aati,
"ALLAH TA'ALA  ke Wali ko jagah dedo..."
Subhanallah.
(Munne ki lash, Page-3-4)

Comments

Popular posts from this blog

เคฎिเคฒाเคฆुเคจ्เคจเคฌी เคธเคฒ्เคฒเคฒ्เคฒाเคนू เค…เคฒैเคน เคต เคธเคฒ्เคฒเคฎ เค•े เคฆिเคจ เค–ुเคฌ เคธเคฒाเคฎ เคนी เคธเคฒाเคฎ เคญेเคœो เค•्เคฏोเค•ि เค•ुเคฐाเคจ เค•เคนเคคा เคนै।

เคˆเคฆे เค—เคฆीเคฐ เคฎเคจाเคจा เคœाเคˆเคœ़ เคนै เคฏा เคจเคนीं"

เคเค• เคจौเคœเคตाเคจ เค•เคนเคคा เคนै: