KHUDA KI AMANAT
~ KHUDA KI AMANAT ~
๐️ HIQAYAT
~ Hazrat Abu Talha (RadiAllahu Ta’ala Anhu) Baaher Safar May The Ki Aapki Gair-Haaziri Main Aapke Ladke Ka Intekaal Hogaya. Abu Talha (RadiAllahu Ta’ala Anhu) Jab ghar Wapas Aaye To Pucha Ladka Kaisa Hain? Aapki Biwi Umme-Salim Ne Jawaab Diya Ki Aaraam Mein Hain. Yeh Kehker Abu Talha (RadiAllahu Ta'ala Anhu) Ke Aage Khana Rakha. Jab Khane Se Farig Hue To Umme Salim Boli Ek Masla To Batayen, Mere Paas Agar Koyi Amanat Rakhi Ho Aur Kuch Dinon Ke Baad Wo Shaks Apni Amanat Wapas Talab Kare To Kya Mujhe Wapas De Dena Chahiye Ya Nahi ?
~ Hazrat Abu Talha (RadiAllahu Ta'ala Anhu) Farmane Lage, Yeh Bhi Koyi Puchne Ki Baat Hain? Fauran Wapas De Dena Chahiye. Umme Salim Ne Kaha Aur Wapas Deker Uska Koi Ranj Wa Gham To Nahi Karna Chahiye, Abu Talha (RadiAllahu Ta'ala Anhu) Bole Nahi. Wo Boli To Fir Suniye Hamara Ladka Khudawandh Karim Ne Hame Amanat Di Thi Wapas Le Li Hain. Ladke Ka Intekaal Hogaya Hain Ab Sabr Kijiyega.
~ Hazrat Abu Talha (RadiAllahu Ta'ala Anhu) Ne Ye Sunker Sabr Kiya Raat Gujarne Ke Baad Subha "HUZOOR (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Ki Khidmat Mein Haazir Huwe Aur. "HUZOOR (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Se Saara Maajra Arz Kiya. Huzoor (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Ne Farmaya, Khuda Ta’ala Aaj Ki Raat Tumahre Liye Ba-Barkat Kare Chunanche, Abu Talha (RadiAllahu Ta'ala Anhu) Ko KHUDA Ne Ladka Ata Farmaya, Jab Paida Huwa Toh, Abu Talha (RadiAllahu Ta'ala Anhu) Use Huzoor (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Ki Bargah May Laye Huzoor (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Ne Uski Peshani Per Haath Mubarak Fhera Aur Uska Naam Abdullah Rakha. Abdullah Jab Tak Zinda Raha Huzoor (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Ke Haath Mubarak Fherne Ki Jagah Yani Peshani Bahoat Noorani Aur Roshan Nazar Aati Thi..
๐ (Hujjatul Alal-Aalamin Page-580)
SABAK : Sahaba-A-Kiraam (RadiAllahu Ta'ala Anhum) Mard Aur Auratain Sabhi ALLAH Ki Raza Per Raazi The Unke Mooh Se Kabhi Koi Khilaaf-A-Shar-a Awaaz Na Nikalti Thi. Yeh Bhi Malum Hua Ki Sahaba-A-Kiraam (RadiAllahu Ta'ala Anhum) Musibat Ke Waqt Apna Dukh Dard Bayaan Karne Ke Liye Huzoor (Sallallahu Ta'ala Alaihe Wasallam) Ki Bargah Main Haazir Hote The.
Comments
Post a Comment