muharram ul haram 1443
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne HASAN AUR HUSSAIN Raziallahu tala anhuma ke liye farmaya :
Jisne inse Mohabbat ki usse Main ne Mohabbat ki ,
aur jis se Main Mohabbat karo usse ALLAH TALA Mohabbat karta hai ,
aur jisko ALLAH TALA Mahboob rakhta hai use Nematou wali Jannatou me Dakhil farmata hai.
(Al Moujamul Kabeer)
Imam Hussain ibn Ali Radiallaho Anho ne Farmaya
“Badtareen Hakim Wo Hai Jo Taqatwar Muqabil Ke Samne Buzdil Sabit Ho Aur Kamzoron Aur Mazloomon Ke Same Jurrat Ka Muzahira Kare.”
“Sufiya Riwayat Karte Hain Ke Imam Hussain Ne Farmaya Hai Ke: ‘Zaalimon Ke Saath (Beparwah Ho Kar) Zinda Rehna Khud Ek Jurm Hai’.
Hum Zulm Ko Apne Ird Gird Roz Dekhte Hain Lekin Kabhi Uske Khilaaf Awaaz Nahin Uthaate Aur Na Hi Uska Muqabla Karte Hain. Bohot Saare Qaum Ke Rehnuma Shehriyon Par, Shohar Apni Biwi Par, Bache Apne Maa Baap Par Aur Ameer Afraad Ghareebon Par Zulm Kar Rahe Hain Lekin Hum Dekh Kar Bhi Usei Undekha Kar Dete Hain. Hum Zulm Ke Khilaaf Usi Waqt Apni Awaaz Ko Buland Karte Hain Jab Wo Zulm Humare Ghar Ke Darwaze Par Dastak Dene Lagta Hai.
Imam Hussain Ka Yehi Paighaam Tha Ke Har Haal Main Zulm O Zalimeen Ko Lalkaaro Chaahe Ussei Tumhare Baraahe Raast Talluq Ho Ya Na Ho.
Hazrat Shaykh Abdul Qadir Jilani Farmate Hain Ke Sufi Wohi Hota Hai Jo Haq Bole Aur Insaaf Pasand Ho. Wazeh Ho Ke Khamoshi Ek Fazeelat Hai Lekin Har Muamle Main Nahin.
Sufiya Farmate Hain Ke Agar Kisi Ke Alfaaz Se Qaum O Millat Ko Nuqsaan Hai To Phir Uska Khamosh Rehna Hi Behtar Hai Lekin Agar Koi Zaalim Ke Zulm O Tashaddud Ko Dekh Raha Ho Aur Taaqat Rakhne Ke Bawajood Bhi Khamosh Hai Toh Aise Insaan Ka Anjaam Tabaahi Hai.”
Qaahili Aur Gaflat Se Bacho :๐๐๐
Hazrat Imam Hussain Ibn-e-Ali (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai Ke –
“(Aye Emaanwalo !) Tum Log Do (2) Aadato Se Bacho, Qaahili Aur Gaflat Se !
Qaahili Tumhe Haq Ke Faraiz Anjam Dene Se Mehrum Karegi Aur Gaflat Se Tum Haq Par Emaan Rakhne Ke Qaabil Nahi Reh Sakoge,
Mere Jadd-e-Amjad (Nana) Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Wasiyat Hai Ke, Ek Bhai Dusre Bhai Se Mulaqaat Karey, Ke Yeh Amaal Aapas Me Mohabbat Paida Karati Hai”.
– (Safar-e-Karbala)
Comments
Post a Comment